Pyar..ek aisi bhavna hai,jo banati hai duniya ko khoobsurat..
Kab chaa jaaye jeevan mei..nahi hai uski koi mahurat.
Dhanya ho jate hai woh, jinko mile sachcha pyar kabhi..
Lagta hai ki..haan..bana hai apne liye koi..ek pal k liye bhi...
Jitna katthin hai pyar paana, usse bhi katthin hota hai saath nibhana..
Ek doosre ka khayaal rakhne ko jitne bhi avsar aayenge, unko kabhi na gavaana..
Pyar toh shuruvaat hai ek sundar safar ka..us khaas insaan ke saath..
Jisse baat karne ki ichcha hoti hai..maano din ho ya raat...
Is pyar ke arth ko samajhna, nahi hai koi saral kaam...
Jab jaanoge kitni hai poojneey, karoge tum usko pranaam..
Pyar lekar jaati hai agle safar mein ek bandhan ki oar..
Shaadi...-Jahaan ban jati hai do premiyo ki ek jeevan bhar ki dor..
Sadiyon se har prem kahaani ki yahi chali aa rahi hai reeth..
Jahaan safal hui kuch kahaaniyaan..aur kuch bas bankar reh jaati hain atheeth...
Pyar jab kho jaata hai, toh jeevan lagta hai adhoora aur ekaanth..
Man mein hamesha hoti hai duvidha aur nahi reh pata hai woh prashaanth..
Agar aapko deni ho apne prem kahani ko ek safal poorvak pehchaan..
To baddhaao apne kadam bina koi shankha..apne jeevan bhar ke saath ka nirman..!
Thursday, May 5, 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

Pyaar zindagi hai, bandagi hai :)
ReplyDelete